dariya sahil tufan dekhe waqt ke aane jaane mein
dariyā sāhil tūfāñ dekhe vaqt ke aane jaane meñ
ham ne saarī umr gañvā dī kashtī paar lagāne meñ
begāne to begāne the begānoñ kā shikva kyā
apnoñ kā bhī haath rahā hai ghar ko aag lagāne meñ
pal do pal meñ Dheh jaate haiñ tāj-mahal armānoñ ke
lekin barsoñ lag jaate haiñ bigḌī baat banāne meñ
hosh-o-ḳhirad kā dāman thāmo josh-o-junūñ se kaam na lo
shīshe par hī ban aatī hai patthar se Takrāne meñ
kaisī manzil kaisī rāheñ ḳhud ko apnā hosh nahīñ
vaqt ne aisā uljhāyā hai apne tāne-bāne meñ
gulshan gulshan sahrā sahrā shabnam-pāshī kī ham ne
phir bhī naam hamārā aayā sho.aloñ ko bhaḌkāne meñ
rang-e-bahārāñ bū-e-gulistāñ un kī kahānī ke unvāñ
zikr ḳhizāoñ kā miltā hai mere hī afsāne meñ
apne hī sar tohmat le lī dīvāne ne dānista
jaane kyā majbūrī hogī sachchī baat batāne meñ
nafrat kī dīvāreñ Dhā deñ pyaar ke āñgan meñ baiTheñ
barbādī hī barbādī hai nāhaq ḳhuun bahāne meñ
dariya sahil tufan dekhe waqt ke aane jaane mein
hum ne sari umr ganwa di kashti par lagane mein
begane to begane the beganon ka shikwa kya
apnon ka bhi hath raha hai ghar ko aag lagane mein
pal do pal mein Dheh jate hain taj-mahal armanon ke
lekin barson lag jate hain bigDi baat banane mein
hosh-o-KHirad ka daman thamo josh-o-junun se kaam na lo
shishe par hi ban aati hai patthar se Takrane mein
kaisi manzil kaisi rahen KHud ko apna hosh nahin
waqt ne aisa uljhaya hai apne tane-bane mein
gulshan gulshan sahra sahra shabnam-pashi ki hum ne
phir bhi nam hamara aaya shoalon ko bhaDkane mein
rang-e-bahaaran bu-e-gulistan un ki kahani ke unwan
zikr KHizaon ka milta hai mere hi afsane mein
apne hi sar tohmat le li diwane ne danista
jaane kya majburi hogi sachchi baat batane mein
nafrat ki diwaren Dha den pyar ke aangan mein baiThen
barbaadi hi barbaadi hai nahaq KHun bahane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.