dariya se faqat is liye rishta hai hamara
dariyā se faqat is liye rishta hai hamārā
ik shaḳhs abhī naav meñ baiThā hai hamārā
duniyā ne hameñ apnī taraf khīñch liyā hai
ai 'ishq tujhe āḳhirī sajda hai hamārā
baiThe haiñ bahut log magar kis ko batā.eñ
us peḌ se kuchh aur hī rishta hai hamārā
tum ham ko javāñ dekh ke hairān huī ho
pahchān to letīñ ki vo beTā hai hamārā
tum jis ko ghanā peḌ samajh baiThe ho 'nādir'
kuchh ġhaur to kar lete vo saayā hai hamārā
dariya se faqat is liye rishta hai hamara
ek shaKHs abhi naw mein baiTha hai hamara
duniya ne hamein apni taraf khinch liya hai
ai 'ishq tujhe aaKHiri sajda hai hamara
baiThe hain bahut log magar kis ko bataen
us peD se kuchh aur hi rishta hai hamara
tum hum ko jawan dekh ke hairan hui ho
pahchan to letin ki wo beTa hai hamara
tum jis ko ghana peD samajh baiThe ho 'nadir'
kuchh ghaur to kar lete wo saya hai hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.