dariya talak rasai ka rasta na ban saka
dariyā talak rasā.ī kā rasta na ban sakā
kūza-garān-e-shauq se naqsha na ban sakā
ḳhud ko jalā ke raakh uḌaa.ī falak kī samt
sho.ala to ho gayā maiñ sitāra na ban sakā
kartā rahā hai faḳhr jo apne nasīb par
maazī meñ kho gayā kabhī fardā na ban sakā
dekhā gayā thā sang-e-nazar se jab aa.ina
aise chaTaḳh ke TuuTā dobāra na ban sakā
sail-e-sarishk-e-shām kī jānib chalā 'suhaib'
soz-e-darūñ kā phir bhī kināra na ban sakā
dariya talak rasai ka rasta na ban saka
kuza-garan-e-shauq se naqsha na ban saka
KHud ko jala ke rakh uDai falak ki samt
shoala to ho gaya main sitara na ban saka
karta raha hai faKHr jo apne nasib par
mazi mein kho gaya kabhi farda na ban saka
dekha gaya tha sang-e-nazar se jab aaina
aise chaTaKH ke TuTa dobara na ban saka
sail-e-sarishk-e-sham ki jaanib chala 'suhaib'
soz-e-darun ka phir bhi kinara na ban saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.