dariya tha sath phir bhi ajab bebasi rahi
dariyā thā saath phir bhī ajab bebasī rahī
sairāb ham hue to magar tishnagī rahī
ahl-e-safar ko justujū manzil pe le ga.ī
gard-e-safar hamārī ye āvārgī rahī
jhukte haiñ ham ġharaz ke liye rab ke sāmne
be-laus ab kisī kī kahāñ bandagī rahī
dīvār kyā khaḌī huī āñgan ke darmiyāñ
chhat se utartī dhuup bhī sahmī huī rahī
āñkhoñ meñ aa ke merī jo ik ḳhvāb bas gayā
phir is ke baad zindagī be-ḳhvāb sī rahī
'resham' ulajh ke rishtoñ ke is pech-o-ḳham meñ ḳhud
apnī hī zaat kā maiñ sirā DhūñDhtī rahī
dariya tha sath phir bhi ajab bebasi rahi
sairab hum hue to magar tishnagi rahi
ahl-e-safar ko justuju manzil pe le gai
gard-e-safar hamari ye aawargi rahi
jhukte hain hum gharaz ke liye rab ke samne
be-laus ab kisi ki kahan bandagi rahi
diwar kya khaDi hui aangan ke darmiyan
chhat se utarti dhup bhi sahmi hui rahi
aankhon mein aa ke meri jo ek KHwab bas gaya
phir is ke baad zindagi be-KHwab si rahi
'resham' ulajh ke rishton ke is pech-o-KHam mein KHud
apni hi zat ka main sira DhunDhti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.