darmandagon ki aankh se aansu jo Dhal gae
darmandagon ki aankh se aansu jo Dhal gae
Tahniyatunnisa Begam Tahniyat
MORE BYTahniyatunnisa Begam Tahniyat
darmāndagoñ kī aañkh se aañsū jo Dhal ga.e
chashme kisī ke lutf-o-karam ke ubal ga.e
Daalī jo us ne ek uchaTtī huī nazar
ḳhasta-dilān-e-rāh-e-mohabbat bahal ga.e
ham aur bārgāh-e-risālat-panāh meñ
maare ḳhushī ke aañkh se aañsū nikal ga.e
pahuñche jo ham dayār-e-madīna meñ sar ke bal
sab apne agle pichhle tasavvur badal ga.e
phir ham the aur rauza-e-aqdas kī jāliyāñ
armān kyā batā.ūñ ki kyā kyā machal ga.e
qurb-e-huzūr dhone lagā dil ke sab uyuub
bātil tasavvurāt the jitne pighal ga.e
nāzāñ hai 'tahniyat' karam-e-kirdgār par
bahke jo the nasīb vo āḳhir sañbhal ga.e
darmandagon ki aankh se aansu jo Dhal gae
chashme kisi ke lutf-o-karam ke ubal gae
Dali jo us ne ek uchaTti hui nazar
KHasta-dilan-e-rah-e-mohabbat bahal gae
hum aur bargah-e-risalat-panah mein
mare KHushi ke aankh se aansu nikal gae
pahunche jo hum dayar-e-madina mein sar ke bal
sab apne agle pichhle tasawwur badal gae
phir hum the aur rauza-e-aqdas ki jaliyan
arman kya bataun ki kya kya machal gae
qurb-e-huzur dhone laga dil ke sab uyub
baatil tasawwuraat the jitne pighal gae
nazan hai 'tahniyat' karam-e-kirdgar par
bahke jo the nasib wo aaKHir sanbhal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.