darmiyāñ fāsla baḌhāte hue
kitnā ḳhush thā vo duur jaate hue
ḳhuun poroñ se ho gayā jaarī
barf se uñgliyāñ haTāte hue
ham kisī aur ko bhī dekheñ kyā
aap ko aa.ina dikhāte hue
kyā udāsī utarne lagtī hai
'mīr' kā sher gungunāte hote
ek nuqte pe mil ga.e donoñ
hijr kā dā.era banāte hue
jis ke darshan ko nain tarse haiñ
kaise dekheñge us ko jaate hue
ham kināre se aa lage 'āsim'
āḳhirī shaḳhs ko bachāte hue
darmiyan fasla baDhate hue
kitna KHush tha wo dur jate hue
KHun poron se ho gaya jari
barf se ungliyan haTate hue
hum kisi aur ko bhi dekhen kya
aap ko aaina dikhate hue
kya udasi utarne lagti hai
'mir' ka sher gungunate hote
ek nuqte pe mil gae donon
hijr ka daera banate hue
jis ke darshan ko nain tarse hain
kaise dekhenge us ko jate hue
hum kinare se aa lage 'asim'
aaKHiri shaKHs ko bachate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.