darmiyan fasla nahin hoga
darmiyāñ fāsla nahīñ hogā
ham se shikva-gila nahīñ hogā
umr bhar chāhe us se mil na sakeñ
vo magar bevafā nahīñ hogā
ḳhaak ho jaa.eñ gar tirī ḳhātir
ishq meñ ye burā nahīñ hogā
umr bhar mujh pe jo rahā taarī
kyā mujhe sochtā nahīñ hogā
tum ko sau yaar mil ga.e hoñge
ham sā pāgal milā nahīñ hogā
DhūñDiye to milegī raah na.ī
ek ḳhvāhish se kyā nahīñ hogā
koshisheñ laakh kar ke dekho tum
gar na chāhe ḳhudā nahīñ hogā
yaad aa.egī kuchh dinoñ us kī
phir to ye silsila nahīñ hogā
shahr se gaañv lauTūñ to 'sāhil'
gaañv ab pahle sā nahīñ hogā
darmiyan fasla nahin hoga
hum se shikwa-gila nahin hoga
umr bhar chahe us se mil na saken
wo magar bewafa nahin hoga
KHak ho jaen gar teri KHatir
ishq mein ye bura nahin hoga
umr bhar mujh pe jo raha tari
kya mujhe sochta nahin hoga
tum ko sau yar mil gae honge
hum sa pagal mila nahin hoga
DhunDiye to milegi rah nai
ek KHwahish se kya nahin hoga
koshishen lakh kar ke dekho tum
gar na chahe KHuda nahin hoga
yaad aaegi kuchh dinon us ki
phir to ye silsila nahin hoga
shahr se ganw lauTun to 'sahil'
ganw ab pahle sa nahin hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.