darmiyan koi fasla bhi nahin
darmiyāñ koī fāsla bhī nahīñ
merī chāhat vo jāntā bhī nahīñ
zindagī se koī gila bhī nahīñ
aur jiine kā hausla bhī nahīñ
har taraf kyoñ usī kā charchā hai
haa.e vo shaḳhs jo milā bhī nahīñ
dil dhaḌakne kā silsila bhī nahīñ
aur muddat se kuchh kahā bhī nahīñ
vaqt dekho kahāñ pe le aaya
ab yahāñ koī rāsta bhī nahīñ
tum ne jo kuchh sunā sunā bhī nahīñ
maiñ ne jo kuchh kahā kahā bhī nahīñ
darmiyan koi fasla bhi nahin
meri chahat wo jaanta bhi nahin
zindagi se koi gila bhi nahin
aur jine ka hausla bhi nahin
har taraf kyon usi ka charcha hai
hae wo shaKHs jo mila bhi nahin
dil dhaDakne ka silsila bhi nahin
aur muddat se kuchh kaha bhi nahin
waqt dekho kahan pe le aaya
ab yahan koi rasta bhi nahin
tum ne jo kuchh suna suna bhi nahin
main ne jo kuchh kaha kaha bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.