darpesh har qadam pe hain pur-Khaar raste
darpesh har qadam pe haiñ pur-ḳhār rāste
anjān manziloñ ke ye dushvār rāste
mahrūmī iztirāb udāsī shikastagī
jis samt jā.iye haiñ yahī chaar rāste
pur-pech ghāTiyoñ se mujhī ko lagāv thā
the varna mere sāmne hamvār rāste
lalkārte haiñ mere 'azā.im ko bārhā
haiñ mere hausloñ ke talabgār rāste
'rāhī' qadam qadam pe nayā ek moḌ hai
har rāste se nikle haiñ do-chār rāste
darpesh har qadam pe hain pur-KHar raste
anjaan manzilon ke ye dushwar raste
mahrumi iztirab udasi shikastagi
jis samt jaiye hain yahi chaar raste
pur-pech ghaTiyon se mujhi ko lagaw tha
the warna mere samne hamwar raste
lalkarte hain mere 'azaim ko barha
hain mere hauslon ke talabgar raste
'rahi' qadam qadam pe naya ek moD hai
har raste se nikle hain do-chaar raste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.