darun-e-dil kisi kachche makan ka naqsha
darūn-e-dil kisī kachche makān kā naqsha
hai mere vāste saare jahān kā naqsha
maiñ dāstān se devī nikāl laayā huuñ
lo ab banāte raho dāstān kā naqsha
hameñ lagā thā ki ham dil banā rahe haiñ tirā
magar banā to kaTīlī chaTān kā naqsha
ye aur baat ki tujh tak pahuñch nahīñ paa.e
vagarna paas thā saare jahān kā naqsha
darun-e-dil kisi kachche makan ka naqsha
hai mere waste sare jahan ka naqsha
main dastan se dewi nikal laya hun
lo ab banate raho dastan ka naqsha
hamein laga tha ki hum dil bana rahe hain tera
magar bana to kaTili chaTan ka naqsha
ye aur baat ki tujh tak pahunch nahin pae
wagarna pas tha sare jahan ka naqsha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.