darun-e-KHwab ye manzar dikhai deta hai
darūn-e-ḳhvāb ye manzar dikhā.ī detā hai
falak pe jaltā huā par dikhā.ī detā hai
koī shikasta sitāra añdherī rātoñ meñ
mirī talāsh meñ aksar dikhā.ī detā hai
sajā ke rakhtā huuñ ā.īne chaar samt ki yuuñ
bas ik charāġh bhī lashkar dikhā.ī detā hai
sunā.ī detī hai dhaḌkan har ek patthar meñ
har ik chaTān meñ paikar dikhā.ī detā hai
mirā vujūd agar aa.ine se bāhar hai
vo kaun hai ki jo andar dikhā.ī detā hai
darun-e-KHwab ye manzar dikhai deta hai
falak pe jalta hua par dikhai deta hai
koi shikasta sitara andheri raaton mein
meri talash mein aksar dikhai deta hai
saja ke rakhta hun aaine chaar samt ki yun
bas ek charagh bhi lashkar dikhai deta hai
sunai deti hai dhaDkan har ek patthar mein
har ek chaTan mein paikar dikhai deta hai
mera wujud agar aaine se bahar hai
wo kaun hai ki jo andar dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.