darun-e-zat aziyyat thi aur tum nahin the
darūn-e-zāt aziyyat thī aur tum nahīñ the
mujhe tumhārī zarūrat thī aur tum nahīñ the
maiñ ḳhvāb meñ tumheñ yak-laḳht chhūne vaalā thā
phir us ke baad haqīqat thī aur tum nahīñ the
isī liye to mohabbat ko fauqiyat dī hai
ki mere saath mohabbat thī aur tum nahīñ the
maiñ chaah kar bhī dar aatā na thā ḳhayāloñ meñ
magar tumheñ ye suhūlat thī aur tum nahīñ the
guzarne vaalā nahīñ thā magar guzār liyā
vo din ki jab hameñ fursat thī aur tum nahīñ the
darun-e-zat aziyyat thi aur tum nahin the
mujhe tumhaari zarurat thi aur tum nahin the
main KHwab mein tumhein yak-laKHt chhune wala tha
phir us ke baad haqiqat thi aur tum nahin the
isi liye to mohabbat ko fauqiyat di hai
ki mere sath mohabbat thi aur tum nahin the
main chah kar bhi dar aata na tha KHayalon mein
magar tumhein ye suhulat thi aur tum nahin the
guzarne wala nahin tha magar guzar liya
wo din ki jab hamein fursat thi aur tum nahin the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.