darun-e-zat teri dastaras mein aae baghair
darūn-e-zāt tirī dastaras meñ aa.e baġhair
ham apne aap se nikleñge sar jhukā.e baġhair
'ajīb ḳhvāhish-e-ulfat hai dil-girafta kī
ki 'ishq baḌhtā rahe dard ko baḌhā.e baġhair
'ajīb lams thā kāñdhe pe us ke rakhte hī sar
sisak ke ro paḌe ham hāl-e-dil sunā.e baġhair
ye ehtijāj-e-gulistāñ hai kyoñ ye ḳhushbūeñ
shanāḳht paatī nahīñ gul se duur jaa.e baġhair
jab un se sirf ishāroñ meñ baat hai mumkin
to shart rakh dī hai kiije nazar milā.e baġhair
diloñ ko jānñe vaale dil-e-fasurda kī
kabhī to sun koī fariyād haath uThā.e baġhair
use bhī chain kahāñ mujh se ruuTh jaane par
mujhe sukūn kahāñ us ko bhī manā.e baġhair
darun-e-zat teri dastaras mein aae baghair
hum apne aap se niklenge sar jhukae baghair
'ajib KHwahish-e-ulfat hai dil-girafta ki
ki 'ishq baDhta rahe dard ko baDhae baghair
'ajib lams tha kandhe pe us ke rakhte hi sar
sisak ke ro paDe hum haal-e-dil sunae baghair
ye ehtijaj-e-gulistan hai kyon ye KHushbuen
shanaKHt pati nahin gul se dur jae baghair
jab un se sirf ishaaron mein baat hai mumkin
to shart rakh di hai kije nazar milae baghair
dilon ko jaanne wale dil-e-fasurda ki
kabhi to sun koi fariyaad hath uThae baghair
use bhi chain kahan mujh se ruTh jaane par
mujhe sukun kahan us ko bhi manae baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.