Darun kyunkar baDa hai lutf dariya ki rawani mein
Darūñ kyūñkar baḌā hai lutf dariyā kī ravānī meñ
jinheñ tūfāñ se laḌnā ho vahī rahte haiñ paanī meñ
na hūroñ meñ na ġhilmāñ meñ na hai bāda-e-sāġhar meñ
haqīqī lutf to zāhid hai lamhāt-e-javānī meñ
baḌī hī dilkashī hai māl-o-zar jannat kī bātoñ meñ
taḌap lekin kahāñ hai jo mohabbat kī kahānī meñ
kahāñ fitrat ke nazzāroñ bahāroñ meñ sitāroñ meñ
ki jo taskīn miltī hai mujhe terī nishānī meñ
sadāqat se kahīñ baḌh kar lage hai jhuuT kā rutba
baḌī tāsīr hai vaa.iz tirī jādū-bayānī meñ
tumhāre bāda-e-jannat kī bāteñ sirf bāteñ haiñ
nirālā hai mazā nāseh sharāb-e-arġhavānī meñ
sukūñ hai maut kā qāsid na karnā aarzū us kī
taġhayyur hai asās-e-zindagī duniyā-e-fānī meñ
kabhī sochā hai nādāñ tum to ḳhud hī apnī duniyā ho
zarūrī kyā ki kho jaao jahāñ kī be-karānī meñ
shahīdoñ ke irādoñ se huā mujh par ayaañ āḳhir
hayāt-e-jāvidāñ kā raaz maut-e-nā-gahānī meñ
junūñ hai vasl kā tum ko na samjho pyaar kī bāteñ
mazā kuchh aur 'anvar' gul-ruḳhoñ se khīñchā-tānī meñ
Darun kyunkar baDa hai lutf dariya ki rawani mein
jinhen tufan se laDna ho wahi rahte hain pani mein
na huron mein na ghilman mein na hai baada-e-saghar mein
haqiqi lutf to zahid hai lamhat-e-jawani mein
baDi hi dilkashi hai mal-o-zar jannat ki baaton mein
taDap lekin kahan hai jo mohabbat ki kahani mein
kahan fitrat ke nazzaron bahaaron mein sitaron mein
ki jo taskin milti hai mujhe teri nishani mein
sadaqat se kahin baDh kar lage hai jhuT ka rutba
baDi tasir hai waiz teri jadu-bayani mein
tumhaare baada-e-jannat ki baaten sirf baaten hain
nirala hai maza naseh sharab-e-arghawani mein
sukun hai maut ka qasid na karna aarzu us ki
taghayyur hai asas-e-zindagi duniya-e-fani mein
kabhi socha hai nadan tum to KHud hi apni duniya ho
zaruri kya ki kho jao jahan ki be-karani mein
shahidon ke iradon se hua mujh par ayan aaKHir
hayat-e-jawidan ka raaz maut-e-na-gahani mein
junun hai wasl ka tum ko na samjho pyar ki baaten
maza kuchh aur 'anwar' gul-ruKHon se khincha-tani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.