darwaze ko piT raha hun paiham chiKH raha hun
darvāze ko piiT rahā huuñ paiham chīḳh rahā huuñ
andar aa kar khul jā sim-sim kahnā bhuul gayā huuñ
khoj meñ terī an-gin Trāmeñ aur baseñ chhānī haiñ
koltār kī saḌkoñ par mīloñ paidal ghūmā huuñ
be-pāyāñ ākāsh ke maqnātīsī jaal se bach kar
ḳhauf-zada sā maiñ dhartī ke siine se chimTā huuñ
barsoñ pahle bikhar ga.ī thī TuuT ke jo sahrā meñ
us laḌkī ke jism ke bikhre TukḌoñ ko chuntā huuñ
maañ kī kokh se qabr kā rasta duur nahīñ thā phir bhī
maiñ jīvan kī bhūl-bhulayyāñ se ho kar guzrā huuñ
shāyad merā dukh sunñe ko vā hoñ gosh kisī ke
din bhar bahroñ DoñDoñ kī nagrī meñ chillātā huuñ
darwaze ko piT raha hun paiham chiKH raha hun
andar aa kar khul ja sim-sim kahna bhul gaya hun
khoj mein teri an-gin Tramen aur basen chhani hain
koltar ki saDkon par milon paidal ghuma hun
be-payan aakash ke maqnatisi jal se bach kar
KHauf-zada sa main dharti ke sine se chimTa hun
barson pahle bikhar gai thi TuT ke jo sahra mein
us laDki ke jism ke bikhre TukDon ko chunta hun
man ki kokh se qabr ka rasta dur nahin tha phir bhi
main jiwan ki bhul-bhulayyan se ho kar guzra hun
shayad mera dukh sunne ko wa hon gosh kisi ke
din bhar bahron DonDon ki nagri mein chillata hun
- Book : kushaad (Pg. 65)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.