Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dasht aadha ghubar aadha tha

Khalid Saeed

dasht aadha ghubar aadha tha

Khalid Saeed

MORE BYKhalid Saeed

    dasht aadhā ġhubār aadhā thā

    diid intishār aadhā thā

    shāḳh par phuul aadhe aadhe the

    zer-e-pā e.atibār aadhā thā

    niiñd aadhī thī ḳhvāb aadhe the

    maut intizār aadhā thā

    raat aadhī thī hoñT aadhe the

    ḳhud pe bhī iḳhtiyār aadhā thā

    nisf parvāz ke the saare parind

    chehra-e-kohsār aadhā thā

    vahī qissa huā bahut maqbūl

    jis meñ dil shumār aadhā thā

    ham kahāñ ḳhud ko joḌne jaate

    nisf tan the dayār aadhā thā

    dasht aadha ghubar aadha tha

    did ka intishaar aadha tha

    shaKH par phul aadhe aadhe the

    zer-e-pa eatibar aadha tha

    nind aadhi thi KHwab aadhe the

    maut ka intizar aadha tha

    raat aadhi thi honT aadhe the

    KHud pe bhi iKHtiyar aadha tha

    nisf parwaz ke the sare parind

    chehra-e-kohsar aadha tha

    wahi qissa hua bahut maqbul

    jis mein dil ka shumar aadha tha

    hum kahan KHud ko joDne jate

    nisf tan the dayar aadha tha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now