dasht aankhon mein tha aawaz mein virani thi
dasht āñkhoñ meñ thā āvāz meñ vīrānī thī
khā gayā shahr use kahte haiñ dīvānī thī
maiñ ne ḳhud par kabhī hone na dī zāhir lekin
mujh meñ terī kamī har shaḳhs ne pahchān lī thī
jab talak ishq sunātā rahā ham sunte rahe
baad is ke bhī kahānī baḌī be-ma.anī thī
lams us dhuup kā kaafī thā samajh jaane ko
barf thā jism magar ruuh ravāñ paanī thī
dasht aankhon mein tha aawaz mein virani thi
kha gaya shahr use kahte hain diwani thi
main ne KHud par kabhi hone na di zahir lekin
mujh mein teri kami har shaKHs ne pahchan li thi
jab talak ishq sunata raha hum sunte rahe
baad is ke bhi kahani baDi be-mani thi
lams us dhup ka kafi tha samajh jaane ko
barf tha jism magar ruh rawan pani thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.