dasht-dar-dasht phira karta hun pyasa hun main
dasht-dar-dasht phirā kartā huuñ pyāsā huuñ maiñ
aur duniyā ye samajhtī hai ki dariyā huuñ maiñ
tañg sahrā nazar aayā hai jo phailā huuñ maiñ
ho ga.ī hai mirī tasvīr jo simTā huuñ maiñ
justujū jis kī safīnoñ ko rahī hai sadiyoñ
dosto mere vo be-nām jazīra huuñ maiñ
kis liye mujh pe hai ye sust-ravī kā ilzām
zindagī dekh le ḳhud terā sarāpā huuñ maiñ
aarzū mere qadam kī thī kabhī rāhoñ ko
aaj lekin dil-e-imkāñ meñ khaTaktā huuñ maiñ
paḌh sako gar to khuleñ tum pe rumūz-e-hastī
vaqt ke haath meñ ik aisā sahīfa huuñ maiñ
anjuman huuñ maiñ kabhī zaat se apnī 'shiblī'
aur mahfil meñ bhī rah kar kabhī tanhā huuñ maiñ
dasht-dar-dasht phira karta hun pyasa hun main
aur duniya ye samajhti hai ki dariya hun main
tang sahra nazar aaya hai jo phaila hun main
ho gai hai meri taswir jo simTa hun main
justuju jis ki safinon ko rahi hai sadiyon
dosto mere wo be-nam jazira hun main
kis liye mujh pe hai ye sust-rawi ka ilzam
zindagi dekh le KHud tera sarapa hun main
aarzu mere qadam ki thi kabhi rahon ko
aaj lekin dil-e-imkan mein khaTakta hun main
paDh sako gar to khulen tum pe rumuz-e-hasti
waqt ke hath mein ek aisa sahifa hun main
anjuman hun main kabhi zat se apni 'shibli'
aur mahfil mein bhi rah kar kabhi tanha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.