dasht-dar-dasht phire aabla-pai le kar
dasht-dar-dasht phire ābla-pā.ī le kar
ham to ḳhush ho liye sahrā kī ḳhudā.ī le kar
sub.h guzrī mirī daryūza-garī karte hue
shaam aa.ī bhī to kashkol-e-gadā.ī le kar
vo pashemān udhar aur maiñ hairān idhar
but bane baiThe rahe donoñ safā.ī le kar
shahr kī galiyoñ meñ phirtā hai koī yuuñ jaise
chāñd āvāra phire dāġh-e-judā.ī le kar
dasht kī chīḳh samā.at pe girāñ hai ab ke
kyā kare koī yahāñ sho.ala-navā.ī le kar
ham ko taḌpātī rahīñ kunj-e-qafas kī yādeñ
pā-ba-zanjīr rahe tujh se rihā.ī le kar
ḳhuub royā dar-e-zindāñ se lipaT kar 'paikar'
kaun aaya thā ye paiġhām-e-rihā.ī le kar
dasht-dar-dasht phire aabla-pai le kar
hum to KHush ho liye sahra ki KHudai le kar
subh guzri meri daryuza-gari karte hue
sham aai bhi to kashkol-e-gadai le kar
wo pasheman udhar aur main hairan idhar
but bane baiThe rahe donon safai le kar
shahr ki galiyon mein phirta hai koi yun jaise
chand aawara phire dagh-e-judai le kar
dasht ki chiKH samaat pe giran hai ab ke
kya kare koi yahan shoala-nawai le kar
hum ko taDpati rahin kunj-e-qafas ki yaaden
pa-ba-zanjir rahe tujh se rihai le kar
KHub roya dar-e-zindan se lipaT kar 'paikar'
kaun aaya tha ye paigham-e-rihai le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.