dasht-e-aiman se chale ku-e-butan tak pahunche
dasht-e-aiman se chale ku-e-butan tak pahunche
Syed Aabid Ali Aabid
MORE BYSyed Aabid Ali Aabid
dasht-e-aiman se chale kū-e-butāñ tak pahuñche
tere dīvāne rumūz-e-do-jahāñ tak pahuñche
but ke rāñde hue allāh ke Thukrā.e hue
āḳhir-e-kār dar-e-pīr-e-muġhāñ tak pahuñche
ġham ko haiñ aar vo aaheñ ki laboñ tak aa.eñ
dil pe haiñ baar vo shikve ki zabāñ tak pahuñche
marhale aur bhī haiñ jaañ se guzarne ke sivā
ishq meñ ham-nafaso koī kahāñ tak pahuñche
tire jalvoñ kī rasā.ī kā tamāshā dekhā
manzil-e-dil se chale manzil-e-jāñ tak pahuñche
kārvān-e-ġham-e-dil dasht-e-junūñ se guzrā
aaj ham ġhāyat-e-umr-e-guzarāñ tak pahuñche
ishq kā saath diyā sidq-o-yaqīñ tak aa.e
aql se kaam liyā vahm-o-gumāñ tak pahuñche
ahl-e-mansab ne kiyā kor-nigāhoñ ko salām
ahl-e-dil bārgah-e-dīda-varāñ tak pahuñche
jin ko rahnā thā rahe ham-suḳhanoñ ke hamrāh
jin ko jaanā thā ga.e bazm-e-shahāñ tak pahuñche
mil ga.iiñ sab haram-o-dair kī rāheñ aakar
shukr-sad-shukr ki ham shahr-e-muġhāñ tak pahuñche
rah ga.e yaar qatīl-e-ġham-e-daurāñ ho kar
ham se kuchh soḳhta-jāñ kū-e-butāñ tak pahuñche
phir bahār aa.ī ki nāgāh asīrān-e-ġhayūr
ham-rah-e-shāḳh-e-qafas barq-e-tapāñ tak pahuñche
kuchh karo chāragaro dil kī girāñ-jānī kā
shīsha TuuTe to kaf-e-shīsha-garāñ tak pahuñche
tumhīñ sachche ki rahā rang-e-taġhāful yaksāñ
hamīñ jhūTe kī ḳhamoshī se fuġhāñ tak pahuñche
apne ahvāl o maqāmāt se maiñ vāqif huuñ
vo to hālāt haiñ jo ahl-e-jahāñ tak pahuñche
ḳhush-navā.ī kī milī daad ki mere ash'ār
mahvishāñ kaj-kulahāñ ḳhush-nigahāñ tak pahuñche
maiñ ne rasman jo kiyā 'ishq-e-butāñ se inkār
kyā tabassum lab-e-lālīn-e-butāñ tak pahuñche
merī āñkhoñ se gurezāñ haiñ vo jalve ab tak
aks jin ke mire ā.īna-e-jāñ tak pahuñche
dāman-e-yār kī manzil se guzar kar āḳhir
dast-e-ushshāq sar-e-tājvarāñ tak pahuñche
chāñd utrā mire kāshāne meñ 'ābid' kal raat
dekhiye raat kī ye baat kahāñ tak pahuñche
dasht-e-aiman se chale ku-e-butan tak pahunche
tere diwane rumuz-e-do-jahan tak pahunche
but ke rande hue allah ke Thukrae hue
aaKHir-e-kar dar-e-pir-e-mughan tak pahunche
gham ko hain aar wo aahen ki labon tak aaen
dil pe hain bar wo shikwe ki zaban tak pahunche
marhale aur bhi hain jaan se guzarne ke siwa
ishq mein ham-nafaso koi kahan tak pahunche
tere jalwon ki rasai ka tamasha dekha
manzil-e-dil se chale manzil-e-jaan tak pahunche
karwan-e-gham-e-dil dasht-e-junun se guzra
aaj hum ghayat-e-umr-e-guzaran tak pahunche
ishq ka sath diya sidq-o-yaqin tak aae
aql se kaam liya wahm-o-guman tak pahunche
ahl-e-mansab ne kiya kor-nigahon ko salam
ahl-e-dil bargah-e-dida-waran tak pahunche
jin ko rahna tha rahe ham-suKHanon ke hamrah
jin ko jaana tha gae bazm-e-shahan tak pahunche
mil gain sab haram-o-dair ki rahen aakar
shukr-sad-shukr ki hum shahr-e-mughan tak pahunche
rah gae yar qatil-e-gham-e-dauran ho kar
hum se kuchh soKHta-jaan ku-e-butan tak pahunche
phir bahaar aai ki nagah asiran-e-ghayur
ham-rah-e-shaKH-e-qafas barq-e-tapan tak pahunche
kuchh karo chaaragaro dil ki giran-jaani ka
shisha TuTe to kaf-e-shisha-garan tak pahunche
tumhin sachche ki raha rang-e-taghaful yaksan
hamin jhuTe ki KHamoshi se fughan tak pahunche
apne ahwal o maqamat se main waqif hun
wo to haalat hain jo ahl-e-jahan tak pahunche
KHush-nawai ki mili dad ki mere ash'ar
mahwishan kaj-kulahan KHush-nigahan tak pahunche
main ne rasman jo kiya 'ishq-e-butan se inkar
kya tabassum lab-e-lalin-e-butan tak pahunche
meri aankhon se gurezan hain wo jalwe ab tak
aks jin ke mere aaina-e-jaan tak pahunche
daman-e-yar ki manzil se guzar kar aaKHir
dast-e-ushshaq sar-e-tajwaran tak pahunche
chand utra mere kashane mein 'abid' kal raat
dekhiye raat ki ye baat kahan tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.