dasht-e-gham tanhai aur virani-e-jaan rah gaya
dasht-e-gham tanhai aur virani-e-jaan rah gaya
Syed Mateenur Rahman Mateen
MORE BYSyed Mateenur Rahman Mateen
dasht-e-ġham tanhā.ī aur vīrānī-e-jāñ rah gayā
dosto bas ab yahī jiine kā sāmāñ rah gayā
muḳhtasar hotī ga.ī kuchh is qadar sharh-e-hayāt
merī palkoñ par faqat ik ashk larzāñ rah gayā
uḌ chuke saare parinde jā chukī fasl-e-bahār
zard pattoñ se Dhakā vīrān maidāñ rah gayā
us kī yādoñ ko miTā paayā na apne zehn se
jaane vaale kā yahī bas mujh pe ehsāñ rah gayā
vo adhūre giit kā mukhḌā hī ban paayā 'matīn'
maiñ use naġhma banātā dil meñ armāñ rah gayā
dasht-e-gham tanhai aur virani-e-jaan rah gaya
dosto bas ab yahi jine ka saman rah gaya
muKHtasar hoti gai kuchh is qadar sharh-e-hayat
meri palkon par faqat ek ashk larzan rah gaya
uD chuke sare parinde ja chuki fasl-e-bahaar
zard patton se Dhaka viran maidan rah gaya
us ki yaadon ko miTa paya na apne zehn se
jaane wale ka yahi bas mujh pe ehsan rah gaya
wo adhure git ka mukhDa hi ban paya 'matin'
main use naghma banata dil mein arman rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.