dasht-e-ghurbat mein hui wo aabla-pai ki bas
dasht-e-ghurbat mein hui wo aabla-pai ki bas
Talat Siddiqi Nahtori
MORE BYTalat Siddiqi Nahtori
dasht-e-ġhurbat meñ huī vo ābla-pā.ī ki bas
aur phir kāñToñ ne kī aisī masīhā.ī ki bas
rang vo laayā mirā zauq-e-jabīñ-sā.ī ki bas
āstān-e-yār se āḳhir nidā aa.ī ki bas
jān-levā yuuñ huī rātoñ kī tanhā.ī ki bas
dāstān-e-dard-o-ġham vo dil ne dohrā.ī ki bas
allah allah ehtimām-e-jalva-ārā.ī ki bas
dīda-e-mushtāq kī aisī pazīrā.ī ki bas
mujh pe apnoñ kī huiiñ aisī karam-farmā.iyāñ
merī hālat par vo ġhairoñ ko hañsī aa.ī ki bas
kūcha-e-jānāñ kī jānib jab kabhī uTThe qadam
duur tak samjhāne mujh ko zindagī aa.ī ki bas
tazkira tark-e-mohabbat kā kabhī jab aa gayā
nāseh-e-mushfiq ne vo taqrīr farmā.ī ki bas
sehn-e-gulshan meñ kiyā thā zikr zulf-e-yār kā
paañv meñ sumbul ne vo zanjīr pahnā.ī ki bas
vajah kuchh be-mehrī-e-ahl-e-vatan bhī hai zarūr
varna ġhurbat mujh ko kyoñ is darja raas aa.ī ki bas
mai-kashoñ ke haal par fitrat ko jab rahm aa gayā
mai-kade par yak-ba-yak aisī ghaTā chhā.ī ki bas
māñgte the ham ḳhizāñ ke ḳhatm hone kī duā
us ke jaane par chaman meñ vo bahār aa.ī ki bas
jab shab-e-ġham rahm marg-e-nā-gahāñ ko aa gayā
jāgne vāloñ ko 'tal.at' aisī niiñd aa.ī ki bas
dasht-e-ghurbat mein hui wo aabla-pai ki bas
aur phir kanTon ne ki aisi masihai ki bas
rang wo laya mera zauq-e-jabin-sai ki bas
aastan-e-yar se aaKHir nida aai ki bas
jaan-lewa yun hui raaton ki tanhai ki bas
dastan-e-dard-o-gham wo dil ne dohrai ki bas
allah allah ehtimam-e-jalwa-arai ki bas
dida-e-mushtaq ki aisi pazirai ki bas
mujh pe apnon ki huin aisi karam-farmaiyan
meri haalat par wo ghairon ko hansi aai ki bas
kucha-e-jaanan ki jaanib jab kabhi uTThe qadam
dur tak samjhane mujh ko zindagi aai ki bas
tazkira tark-e-mohabbat ka kabhi jab aa gaya
naseh-e-mushfiq ne wo taqrir farmai ki bas
sehn-e-gulshan mein kiya tha zikr zulf-e-yar ka
panw mein sumbul ne wo zanjir pahnai ki bas
wajah kuchh be-mehri-e-ahl-e-watan bhi hai zarur
warna ghurbat mujh ko kyon is darja ras aai ki bas
mai-kashon ke haal par fitrat ko jab rahm aa gaya
mai-kade par yak-ba-yak aisi ghaTa chhai ki bas
mangte the hum KHizan ke KHatm hone ki dua
us ke jaane par chaman mein wo bahaar aai ki bas
jab shab-e-gham rahm marg-e-na-gahan ko aa gaya
jagne walon ko 'talat' aisi nind aai ki bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.