dasht-e-hayat surat-e-sahra dikhai de
dasht-e-hayāt sūrat-e-sahrā dikhā.ī de
mīloñ koī shajar hī na saaya dikhā.ī de
kyoñ shīsha-e-ḳhayāl na dhuñdlā dikhā.ī de
jab aks TūTtā huā taara dikhā.ī de
mahrūmiyoñ kī dhund hai nazroñ ke sāmne
kaise nigār-e-vaqt kā chehra dikhā.ī de
hadd-e-nazar hai sirf sarāboñ kā silsila
har lab pe ek pyaas kā sahrā dikhā.ī de
uupar se yuuñ to ḳhud ko sameTe hue haiñ log
andar se har vajūd bikhartā dikhā.ī de
har peḌ par itaab hai kin mausamoñ kā aaj
shāḳhoñ pe koī phuul na pattā dikhā.ī de
'jauhar' talāsh-e-zāt se irfān-e-zāt tak
apnī anā kā aks har ik jā dikhā.ī de
dasht-e-hayat surat-e-sahra dikhai de
milon koi shajar hi na saya dikhai de
kyon shisha-e-KHayal na dhundla dikhai de
jab aks TuTta hua tara dikhai de
mahrumiyon ki dhund hai nazron ke samne
kaise nigar-e-waqt ka chehra dikhai de
hadd-e-nazar hai sirf sarabon ka silsila
har lab pe ek pyas ka sahra dikhai de
upar se yun to KHud ko sameTe hue hain log
andar se har wajud bikharta dikhai de
har peD par itab hai kin mausamon ka aaj
shaKHon pe koi phul na patta dikhai de
'jauhar' talash-e-zat se irfan-e-zat tak
apni ana ka aks har ek ja dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.