Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dasht-e-hu se to kabhi bagh-e-nawa se guzra

Yawar Warsi

dasht-e-hu se to kabhi bagh-e-nawa se guzra

Yawar Warsi

MORE BYYawar Warsi

    dasht-e-hū se to kabhī bāġh-e-navā se guzrā

    roz maiñ ek na.ī āb-o-havā se guzrā

    thartharātī thī zamīñ kaañp rahe the aflāk

    sāneha ho ke mire dast-e-duā se guzrā

    baaġh meñ bād-e-sabā aag lagātī guzrī

    sho.ala-e-hijr dil-e-bād-e-sabā se guzrā

    uñgliyoñ meñ tirī ābād hai ik shahr-e-hunar

    ye gumāñ bhī tire naqsh-e-kaf-e-pā se guzrā

    kis liye chāñd sitāroñ ne kiyā merā tavāf

    kaun ye aaj mire ġhār-e-hirā se guzrā

    merī āñkhoñ meñ sharāroñ ne kiyā aa ke hujūm

    jab mirā shauq-e-ziyāñ kaalī ghaTā se guzrā

    vo galī thī tirī haañ terī galī thī shāyad

    aisā mahsūs huā kū-e-shifā se guzrā

    vaqt ne kaaT diye the par-e-parvāz mire

    dast-o-pā mārtā saffāk ḳhalā se guzrā

    is zamīñ par na koī dar hai na darvāza magar

    jo bhī guzrā hai yahāñ se liye kaase guzrā

    maiñ maiñ ḳhud ko nazar aaya vahāñ par 'yāvar'

    jab tajassus mirā kohsār-e-nidā se guzrā

    dasht-e-hu se to kabhi bagh-e-nawa se guzra

    roz main ek nai aab-o-hawa se guzra

    thartharaati thi zamin kanp rahe the aflak

    saneha ho ke mere dast-e-dua se guzra

    bagh mein baad-e-saba aag lagati guzri

    shoala-e-hijr dil-e-baad-e-saba se guzra

    ungliyon mein teri aabaad hai ek shahr-e-hunar

    ye guman bhi tere naqsh-e-kaf-e-pa se guzra

    kis liye chand sitaron ne kiya mera tawaf

    kaun ye aaj mere ghaar-e-hira se guzra

    meri aankhon mein shararon ne kiya aa ke hujum

    jab mera shauq-e-ziyan kali ghaTa se guzra

    wo gali thi teri han teri gali thi shayad

    aisa mahsus hua ku-e-shifa se guzra

    waqt ne kaT diye the par-e-parwaz mere

    dast-o-pa marta saffak KHala se guzra

    is zamin par na koi dar hai na darwaza magar

    jo bhi guzra hai yahan se liye kase guzra

    main hi main KHud ko nazar aaya wahan par 'yawar'

    jab tajassus mera kohsar-e-nida se guzra

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now