dasht-e-junun mein aabla-pa le gaya mujhe
dasht-e-junūñ meñ ābla-pā le gayā mujhe
merī mohabbatoñ kā sila le gayā mujhe
vīrān is nazar ne kiyā mujh ko aur phir
tanhā.iyoñ kā dasht bahā le gayā mujhe
yaañ bhī vahī zamīn vahī āsmāñ milā
maiñ sochtā rahā ki vo kyā le gayā mujhe
ik baar bhī vo mujh se muḳhātab nahīñ huā
us ke qarīb ye hī gila le gayā mujhe
vo kyā milā na dhyān rahā bādbān kā
girdāb meñ safīna mirā le gayā mujhe
gar vo nazar-shanās nahīñ thā to kis tarah
dekhā unheñ unhī ko sunā le gayā mujhe
kashtī bhañvar meñ un kī nigāhoñ meñ bebasī
'manzar' yahī to ab ke uThā le gayā mujhe
dasht-e-junun mein aabla-pa le gaya mujhe
meri mohabbaton ka sila le gaya mujhe
viran is nazar ne kiya mujh ko aur phir
tanhaiyon ka dasht baha le gaya mujhe
yan bhi wahi zamin wahi aasman mila
main sochta raha ki wo kya le gaya mujhe
ek bar bhi wo mujh se muKHatab nahin hua
us ke qarib ye hi gila le gaya mujhe
wo kya mila na dhyan raha baadban ka
girdab mein safina mera le gaya mujhe
gar wo nazar-shanas nahin tha to kis tarah
dekha unhen unhi ko suna le gaya mujhe
kashti bhanwar mein un ki nigahon mein bebasi
'manzar' yahi to ab ke uTha le gaya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.