dasht-e-junun mein qais ki tazim ki gai
dasht-e-junūñ meñ qais kī tā'zīm kī ga.ī
har baat ahl-e-'ishq kī taslīm kī ga.ī
dil meñ mohabbateñ to du'ā.eñ haiñ haath par
har daur meñ faqīr kī takrīm kī ga.ī
mehnat ko bhuuk miltī hai daulat ko har ḳhushī
asbāb-e-jāñ kī kaisī ye taqsīm kī ga.ī
kyā kyā hayāt-o-marg ke pesh aa.e marhale
taḳhrīb kī ga.ī kabhī tanzīm kī ga.ī
ġhairoñ ke jārihāna 'azā.im ke bāvajūd
taslīm mere she'r kī iqlīm kī ga.ī
husn-e-vujūd-e-zan ke karishme to dekhiye
kyā ḳhuub rang-o-nūr kī tajsīm kī ga.ī
zindān-e-shab meñ pheñkā gayā āftāb ko
ā.īn-e-sub.h meñ koī tarmīm kī ga.ī
'rāhī' 'azāb-e-āgahī mushkil thā is liye
duniyā meñ justujū-e-zar-o-sīm kī ga.ī
dasht-e-junun mein qais ki ta'zim ki gai
har baat ahl-e-'ishq ki taslim ki gai
dil mein mohabbaten to du'aen hain hath par
har daur mein faqir ki takrim ki gai
mehnat ko bhuk milti hai daulat ko har KHushi
asbab-e-jaan ki kaisi ye taqsim ki gai
kya kya hayat-o-marg ke pesh aae marhale
taKHrib ki gai kabhi tanzim ki gai
ghairon ke jarihana 'azaim ke bawajud
taslim mere she'r ki iqlim ki gai
husn-e-wujud-e-zan ke karishme to dekhiye
kya KHub rang-o-nur ki tajsim ki gai
zindan-e-shab mein phenka gaya aaftab ko
aain-e-subh mein koi tarmim ki gai
'rahi' 'azab-e-agahi mushkil tha is liye
duniya mein justuju-e-zar-o-sim ki gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.