dasht-e-Khaali ko KHush-asar kiya jaega
dasht-e-ḳhālī ko ḳhush-āsār kiyā jā.egā
aaj phir 'ishq pe isrār kiyā jā.egā
khankhanāte hue lafzoñ kī havas-kārī meñ
ḳhāmushī ko zar-e-iz.hār kiyā jā.egā
'ishq ke baab meñ dar aayā bahut shor-e-anā
ab to darvāza bhī dīvār kiyā jā.egā
kyoñ rasad band huī bū-e-gul-e-zebā kī
ai sabā kyā hameñ bīmār kiyā jā.egā
aaj masrūf haiñ ham apnī hī yakjā.ī meñ
phir kisī din tumheñ hamvār kiyā jā.egā
dasht-e-KHali ko KHush-asar kiya jaega
aaj phir 'ishq pe israr kiya jaega
khankhanate hue lafzon ki hawas-kari mein
KHamushi ko zar-e-izhaar kiya jaega
'ishq ke bab mein dar aaya bahut shor-e-ana
ab to darwaza bhi diwar kiya jaega
kyon rasad band hui bu-e-gul-e-zeba ki
ai saba kya hamein bimar kiya jaega
aaj masruf hain hum apni hi yakjai mein
phir kisi din tumhein hamwar kiya jaega
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 32)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.