dasht-e-tabir mein aankhon ko jalane ke liye
dasht-e-tā'bīr meñ āñkhoñ ko jalāne ke liye
raat aa.ī thī hameñ ḳhvāb dikhāne ke liye
din ko har gaam pe vo saath thā saa.e kī tarah
shaam aate hī hameñ chhoḌ ke jaane ke liye
yaad karnā bhī ḳhatā yaad na karnā bhī ḳhatā
ham to jiite rahe ilzām uThāne ke liye
jaane kyoñ dasht-e-tamannā meñ bahār aa pahuñchī
ham hī kyā kam the yahāñ ḳhaak uḌāne ke liye
chashm-e-vīrāñ kā bhalā kis se mudāvā hotā
tum hī aa jaate kabhī ham ko rulāne ke liye
shahr-e-dil tund havāoñ kā hai maskan 'rāshid'
kaun aa.egā yahāñ sham' jalāne ke liye
dasht-e-ta'bir mein aankhon ko jalane ke liye
raat aai thi hamein KHwab dikhane ke liye
din ko har gam pe wo sath tha sae ki tarah
sham aate hi hamein chhoD ke jaane ke liye
yaad karna bhi KHata yaad na karna bhi KHata
hum to jite rahe ilzam uThane ke liye
jaane kyon dasht-e-tamanna mein bahaar aa pahunchi
hum hi kya kam the yahan KHak uDane ke liye
chashm-e-viran ka bhala kis se mudawa hota
tum hi aa jate kabhi hum ko rulane ke liye
shahr-e-dil tund hawaon ka hai maskan 'rashid'
kaun aaega yahan sham' jalane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.