dasht-e-talab mein kab se akela khaDa hun main
dasht-e-talab meñ kab se akelā khaḌā huuñ maiñ
jis kā nahīñ javāb koī vo sadā huuñ maiñ
kis kī talāsh hai mujhe apne vajūd meñ
vo kaun kho gayā hai jise DhūñDhtā huuñ maiñ
ye maiñ ne kab kahā thā ki Thahro mire liye
dekhā to hotā muḌ ke kahāñ rah gayā huuñ maiñ
hai kis kā intizār tujhe rāh-e-raftagāñ
terī hadoñ se duur bahut jā chukā huuñ maiñ
muddat ke baad lauT ke ghar aa gayā to huuñ
ab sochne lagā huuñ koī dūsrā huuñ maiñ
dasht-e-talab mein kab se akela khaDa hun main
jis ka nahin jawab koi wo sada hun main
kis ki talash hai mujhe apne wajud mein
wo kaun kho gaya hai jise DhunDhta hun main
ye main ne kab kaha tha ki Thahro mere liye
dekha to hota muD ke kahan rah gaya hun main
hai kis ka intizar tujhe rah-e-raftagan
teri hadon se dur bahut ja chuka hun main
muddat ke baad lauT ke ghar aa gaya to hun
ab sochne laga hun koi dusra hun main
- Book : سکوت دشت (Pg. 55)
- Author : اقبال انجم
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس دہلی۔6 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.