dasht-e-wahshat mein hamara ab hua hai bud-o-bash
dasht-e-wahshat mein hamara ab hua hai bud-o-bash
Lutfunnisa Imtiyaz
MORE BYLutfunnisa Imtiyaz
dasht-e-vahshat meñ hamārā ab huā hai būd-o-bāsh
sar phirāne ko abas sayyād kartā hai talāsh
sarzanish aalam kī aur sañg-e-jafā tere se aah
shāyad ab mīnā-e-dil hotā hai zālim paash paash
ye abhī pal meñ tujhe barbād kar deñ mohtasib
dekh nāhaq mai-kashoñ ke bhed ko kartā hai faash
yuuñ dimāġh ab kis kā yaarī de jo shāyad kījiye
paas jā mun.im ke baiThe jo kabhī bahr-e-ma.āsh
sher kahne kā salīqa kuchh nahīñ hai 'imtiyāz'
hai magar itnā ki ye rakhtā hai Tuk ġham kā tarāsh
dasht-e-wahshat mein hamara ab hua hai bud-o-bash
sar phirane ko abas sayyaad karta hai talash
sarzanish aalam ki aur sang-e-jafa tere se aah
shayad ab mina-e-dil hota hai zalim pash pash
ye abhi pal mein tujhe barbaad kar den mohtasib
dekh nahaq mai-kashon ke bhed ko karta hai fash
yun dimagh ab kis ka yari de jo shayad kijiye
pas ja munim ke baiThe jo kabhi bahr-e-maash
sher kahne ka saliqa kuchh nahin hai 'imtiyaz'
hai magar itna ki ye rakhta hai Tuk gham ka tarash
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.