dasht hai jin ka muqaddar dekhiye
dasht hai jin kā muqaddar dekhiye
un kī āñkhoñ meñ samundar dekhiye
gahrī ḳhāmoshī kā manzar dekhiye
apne andar bhī utar kar dekhiye
ek ik sā'at kā denā hai hisāb
ek ik lamhe kā mahshar dekhiye
log shīshe ke makāñ meñ band haiñ
aur hāthoñ meñ haiñ patthar dekhiye
aag meñ lipTā huā sāvan mile
sabz jangal se guzar kar dekhiye
dasht hai jin ka muqaddar dekhiye
un ki aankhon mein samundar dekhiye
gahri KHamoshi ka manzar dekhiye
apne andar bhi utar kar dekhiye
ek ek sa'at ka dena hai hisab
ek ek lamhe ka mahshar dekhiye
log shishe ke makan mein band hain
aur hathon mein hain patthar dekhiye
aag mein lipTa hua sawan mile
sabz jangal se guzar kar dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.