dasht hote hue barsat nahin chahte hum
dasht hote hue barsāt nahīñ chāhte ham
ya.anī apne bhī mafādāt nahīñ chāhte ham
hoñT cigarette kī talab karte chale jaate haiñ
aur is ke muzir asarāt nahīñ chāhte ham
raas yaktā.ī bahut aa.ī huī hai ham ko
qaid ho kar bhī mulāqāt nahīñ chāhte ham
jo ka.ī shahroñ ke miTne kā sabab ho jaa.eñ
dostā aisī futūhāt nahīñ chāhte ham
haath phailā.e tire dar pe paḌe rahte haiñ
vo jo kahte the ki ḳhairāt nahīñ chāhte ham
apne pairoñ se hameñ apnā safar karnā hai
is liye aap kī ḳhidmāt nahīñ chāhte ham
dasht hote hue barsat nahin chahte hum
yani apne bhi mafadat nahin chahte hum
honT cigarette ki talab karte chale jate hain
aur is ke muzir asaraat nahin chahte hum
ras yaktai bahut aai hui hai hum ko
qaid ho kar bhi mulaqat nahin chahte hum
jo kai shahron ke miTne ka sabab ho jaen
dosta aisi futuhat nahin chahte hum
hath phailae tere dar pe paDe rahte hain
wo jo kahte the ki KHairaat nahin chahte hum
apne pairon se hamein apna safar karna hai
is liye aap ki KHidmat nahin chahte hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.