dasht ke dasht ashkon se tar ho gae
dasht ke dasht ashkoñ se tar ho ga.e
saare zarrāt la.al-o-gohar ho ga.e
sā.ebāñ the magar mil na paa.e hameñ
umr kī raah par dar-ba-dar ho ga.e
hādisa ye huā ham chale to magar
aap tak aate aate ḳhabar ho ga.e
jaane kyā kar diyā ik nazar ne tirī
mere jazbāt zer-o-zabar ho ga.e
sabr se mere haarā tirā zulm phir
dekh sayyād phir bāl-o-par ho ga.e
apne do chaar lamhe bane dāstāñ
phir fasāne sabhī muḳhtasar ho ga.e
maiñ ne chupke se dam kiiñ duā.eñ magar
vo shifā pā ga.e mushtahar ho ga.e
us ke qadmoñ kā yuuñ jhuk ke bosa liyā
ḳhāk-e-pā ham sar-e-rahguzar ho ga.e
aap 'kausar' kī āñkhoñ kā taara hue
dil meñ ubhre to rashk-e-qamar ho ga.e
dasht ke dasht ashkon se tar ho gae
sare zarraat lal-o-gohar ho gae
saeban the magar mil na pae hamein
umr ki rah par dar-ba-dar ho gae
hadisa ye hua hum chale to magar
aap tak aate aate KHabar ho gae
jaane kya kar diya ek nazar ne teri
mere jazbaat zer-o-zabar ho gae
sabr se mere haara tera zulm phir
dekh sayyaad phir baal-o-par ho gae
apne do chaar lamhe bane dastan
phir fasane sabhi muKHtasar ho gae
main ne chupke se dam kin duaen magar
wo shifa pa gae mushtahar ho gae
us ke qadmon ka yun jhuk ke bosa liya
KHak-e-pa hum sar-e-rahguzar ho gae
aap 'kausar' ki aankhon ka tara hue
dil mein ubhre to rashk-e-qamar ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.