dasht ke KHas hawale nazar aate hain mujhe
dasht ke ḳhaas havāle nazar aate haiñ mujhe
paañv meñ ḳhuun ke chhāle nazar aate haiñ mujhe
haif-sad-haif tujhe dekh nahīñ paatā maiñ
shukr-sad-shukr ujāle nazar aate haiñ mujhe
niiñd lagtī hai chamakte hue sūraj kā shikār
ḳhvāb āñkhoñ ke nivāle nazar aate haiñ mujhe
tum unheñ andhā samajhne kī himāqat na karo
ye to sab dekhne vaale nazar aate haiñ mujhe
jab se ghar chhoḌ ki vo chāñd gayā hai merā
chhat to chhat farsh pe jaale nazar aate haiñ mujhe
ye kahīñ shahr-e-tasavvuf to nahīñ duur talak
sab ke kandhoñ pe doshāle nazar aate haiñ mujhe
dekhtā huuñ maiñ na.e Dhañg se duniyā ko 'fidā'
aur manzar bhī nirāle nazar aate haiñ mujhe
dasht ke KHas hawale nazar aate hain mujhe
panw mein KHun ke chhaale nazar aate hain mujhe
haif-sad-haif tujhe dekh nahin pata main
shukr-sad-shukr ujale nazar aate hain mujhe
nind lagti hai chamakte hue suraj ka shikar
KHwab aankhon ke niwale nazar aate hain mujhe
tum unhen andha samajhne ki himaqat na karo
ye to sab dekhne wale nazar aate hain mujhe
jab se ghar chhoD ki wo chand gaya hai mera
chhat to chhat farsh pe jale nazar aate hain mujhe
ye kahin shahr-e-tasawwuf to nahin dur talak
sab ke kandhon pe doshaale nazar aate hain mujhe
dekhta hun main nae Dhang se duniya ko 'fida'
aur manzar bhi nirale nazar aate hain mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.