dasht ki pyas baDhane ke liye aae the
dasht kī pyaas baḌhāne ke liye aa.e the
abr bhī aag lagāne ke liye aa.e the
aise lagtā hai ki ham hī se koī bhuul huī
tum kisī aur zamāne ke liye aa.e the
apnī pathrā.ī huī āñkhoñ ko jhapkeñ kaise
jo tirā aks churāne ke liye aa.e the
mauj-dar-mauj huā āb-e-ravāñ qaus-e-quzah
taare āñkhoñ meñ nahāne ke liye aa.e the
log kahte hī rahe 'sād' batāo kuchh to
ham ki bas ashk bahāne ke liye aa.e the
dasht ki pyas baDhane ke liye aae the
abr bhi aag lagane ke liye aae the
aise lagta hai ki hum hi se koi bhul hui
tum kisi aur zamane ke liye aae the
apni pathrai hui aankhon ko jhapken kaise
jo tera aks churane ke liye aae the
mauj-dar-mauj hua aab-e-rawan qaus-e-quzah
tare aankhon mein nahane ke liye aae the
log kahte hi rahe 'sad' batao kuchh to
hum ki bas ashk bahane ke liye aae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.