dasht mein chhanw koi DhunD nikali jae
dasht meñ chhāñv koī DhūñD nikālī jaa.e
apnī hī zaat kī dīvār banā lī jaa.e
ye to mumkin hai ki dīvār girā deñ lekin
kaise girtī huī dīvār sambhālī jaa.e
DhūñDhnā hogā ḳhad-o-ḳhāl kī duniyā meñ jise
pahle us shaḳhs kī tasvīr banā lī jaa.e
dil ho faiyyaz to bas ek hī dar kaafī hai
kyā zarūrī hai ki har dar pe savālī jaa.e
tum jo bole to milī zauq-e-anā ko taskīn
mujh ko Dar thā mirī āvāz na ḳhālī jaa.e
likh to deñ har dar-o-dīvār pe 'ābid' lekin
baat aisī hai ki siine meñ chhupā lī jaa.e
dasht mein chhanw koi DhunD nikali jae
apni hi zat ki diwar bana li jae
ye to mumkin hai ki diwar gira den lekin
kaise girti hui diwar sambhaali jae
DhunDhna hoga KHad-o-KHal ki duniya mein jise
pahle us shaKHs ki taswir bana li jae
dil ho faiyyaz to bas ek hi dar kafi hai
kya zaruri hai ki har dar pe sawali jae
tum jo bole to mili zauq-e-ana ko taskin
mujh ko Dar tha meri aawaz na KHali jae
likh to den har dar-o-diwar pe 'abid' lekin
baat aisi hai ki sine mein chhupa li jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.