dasht mein fikr-e-na-rasai kya
dasht meñ fikr-e-nā-rasā.ī kyā
hijr kyā hijr kī kamā.ī kyā
jo kabhī thī savār sāñsoñ par
vo ghaḌī phir se lauT aa.ī kyā
ham javānī to apnī haar chuke
paa.eñ ab qaid se rihā.ī kyā
rote rote niDhāl ho ga.e ho
beTī hotī nahīñ parā.ī kyā
dukh ke lamhoñ meñ is qadar tanhā
terā koī nahīñ hai bhaa.ī kyā
terī bastī ke bhole-bhāle log
maañ ko kahte haiñ ab bhī maa.ī kyā
koī āvāz de rahā hai 'amīn'
tujh ko detā nahīñ sunā.ī kyā
dasht mein fikr-e-na-rasai kya
hijr kya hijr ki kamai kya
jo kabhi thi sawar sanson par
wo ghaDi phir se lauT aai kya
hum jawani to apni haar chuke
paen ab qaid se rihai kya
rote rote niDhaal ho gae ho
beTi hoti nahin parai kya
dukh ke lamhon mein is qadar tanha
tera koi nahin hai bhai kya
teri basti ke bhole-bhaale log
man ko kahte hain ab bhi mai kya
koi aawaz de raha hai 'amin'
tujh ko deta nahin sunai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.