dasht mein KHak uDane ka irada nahin hai
dasht meñ ḳhaak uḌāne kā irāda nahīñ hai
dil ye saada hai magar aisā bhī saada nahīñ hai
rah-navardī kā yahāñ shauq hī be-ma.anī hai
kyūñ-ki tā-hadd-e-nazar koī bhī jaada nahīñ hai
us kī tahrīr kā taqrīr kā maiñ qaa.il huuñ
koī takrār nahīñ koī i.aada nahīñ hai
shāhzāda bhī bhalā aage baḌhe to kyūñkar
us ke hamrāh kahīñ koī piyāda nahīñ hai
ghar kushāda to banā.e haiñ yahāñ logoñ ne
dil kisī kā bhī magar itnā kushāda nahīñ hai
dasht mein KHak uDane ka irada nahin hai
dil ye sada hai magar aisa bhi sada nahin hai
rah-nawardi ka yahan shauq hi be-mani hai
kyun-ki ta-hadd-e-nazar koi bhi jada nahin hai
us ki tahrir ka taqrir ka main qail hun
koi takrar nahin koi iada nahin hai
shahzada bhi bhala aage baDhe to kyunkar
us ke hamrah kahin koi piyaada nahin hai
ghar kushada to banae hain yahan logon ne
dil kisi ka bhi magar itna kushada nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.