dasht mein phul khila rakkha hai
dasht meñ phuul khilā rakkhā hai
ham ne dil dil se milā rakkhā hai
terī ḳhātir tujhe ma.alūm kahāñ
ham ne kis kis ko bhulā rakkhā hai
bas tirā zikr na.ī fikr ke saath
hijr meñ aur to kyā rakkhā hai
kyā ḳhabar aaj hī kar Dāleñ ham
kaam jo kal pe uThā rakkhā hai
is ne rakkhā hai sukūñ nekī meñ
aur gunāhoñ meñ mazā rakkhā hai
ā.īna dekh rahe ho yā phir
ḳhud ko tasvīr banā rakkhā hai
bair us ko hī charāġhoñ se huā
naam jis ne bhī havā rakkhā hai
faqat apnī na rahī fikr 'jamīl'
ham ne terā bhī patā rakkhā hai
dasht mein phul khila rakkha hai
hum ne dil dil se mila rakkha hai
teri KHatir tujhe malum kahan
hum ne kis kis ko bhula rakkha hai
bas tera zikr nai fikr ke sath
hijr mein aur to kya rakkha hai
kya KHabar aaj hi kar Dalen hum
kaam jo kal pe uTha rakkha hai
is ne rakkha hai sukun neki mein
aur gunahon mein maza rakkha hai
aaina dekh rahe ho ya phir
KHud ko taswir bana rakkha hai
bair us ko hi charaghon se hua
nam jis ne bhi hawa rakkha hai
faqat apni na rahi fikr 'jamil'
hum ne tera bhi pata rakkha hai
- Book : Makan Khulty Hain (Pg. 42)
- Author : Hassan Jameel
- Publication : Nastalique Al-firoz center Gazni Street, Urdu Bazar,Lahore (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.