dasht mein raat banate hue Darta hun main
dasht meñ raat banāte hue Dartā huuñ maiñ
apnī āvāz bujhāte hue Dartā huuñ maiñ
tangī-e-vaqt kā mātam nahīñ rukne vaalā vaalā
arsa-e-hijr baḌhāte hue Dartā huuñ maiñ maiñ
dushmanoñ se vahī kartā hai hifāzat merī
jis ko āvāz lagāte hue Dartā huuñ maiñ
raakh ke Dher pe ye nāchte gaate hue log
ab yahāñ phuul khilāte hue Dartā huuñ maiñ
jiit jā.eñge yahāñ shor machāne vaale
gungunāte hue gaate hue Dartā huuñ maiñ
sab jahāñgīr niyāmoñ se nikal ā.eñge
ab to zanjīr hilāte hue Dartā huuñ maiñ
dasht mein raat banate hue Darta hun main
apni aawaz bujhate hue Darta hun main
tangi-e-waqt ka matam nahin rukne wala wala
arsa-e-hijr baDhate hue Darta hun main main
dushmanon se wahi karta hai hifazat meri
jis ko aawaz lagate hue Darta hun main
rakh ke Dher pe ye nachte gate hue log
ab yahan phul khilate hue Darta hun main
jit jaenge yahan shor machane wale
gungunate hue gate hue Darta hun main
sab jahangir niyamon se nikal aaenge
ab to zanjir hilate hue Darta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.