dasht mein yar ko pukara jae
dasht meñ yaar ko pukārā jaa.e
qais sāhab kā ruup dhārā jaa.e
mujh ko Dar hai ki piñjra khulne par
ye parinda kahīñ na maarā jaa.e
dil use yaad kar sadā mat de
kaun aatā hai jab pukārā jaa.e
dil kī tasvīr ab mukammal ho
un kī jānib se tiir maarā jaa.e
laash maujoñ ko hukm detī hai
le chalo jis taraf kinārā jaa.e
dil to hai hī nahīñ hamārā phir
TuuT jaa.e to kyā hamārā jaa.e
ye tirā kaam hai na.e mahbūb
Dūbte shaḳhs ko ubhārā jaa.e
dasht mein yar ko pukara jae
qais sahab ka rup dhaara jae
mujh ko Dar hai ki pinjra khulne par
ye parinda kahin na mara jae
dil use yaad kar sada mat de
kaun aata hai jab pukara jae
dil ki taswir ab mukammal ho
un ki jaanib se tir mara jae
lash maujon ko hukm deti hai
le chalo jis taraf kinara jae
dil to hai hi nahin hamara phir
TuT jae to kya hamara jae
ye tera kaam hai nae mahbub
Dubte shaKHs ko ubhaara jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.