dasht-o-sahra ko bhi wo manzar suhane de gaya
dasht-o-sahra ko bhi wo manzar suhane de gaya
Syed Qamruddin Qamar
MORE BYSyed Qamruddin Qamar
dasht-o-sahrā ko bhī vo manzar suhāne de gayā
aur zabāñ par pattharoñ kī vo tarāne de gayā
masḳh hone lag ga.e ehsās ke chehre tamām
dhuup ke jalte hue vo āshiyāne de gayā
daam phailā.egā kal apnī havas kā bil-yaqīñ
aaj to vo ai parinde chand daane de gayā
dekhte haiñ tere gītoñ meñ tirā chehra sabhī
dil bahal jā.eñge jin se vo bahāne de gayā
vo rahā masrūr mahfil meñ charāġhoñ kī magar
naaz ham ko in añdheroñ ke uThāne de gayā
ḳhūñ-chakāñ manzar diyā aur zahr kā dariyā diyā
apnī taqrīroñ meñ sho.aloñ ke fasāne de gayā
shukriya sad-shukriya ai shā.ir-e-bismil ki tū
dard se māmūr ġhazleñ gungunāne de gayā
is se baḌh kar aur kyā sauġhāt hogī ai 'qamar'
zaḳhm-e-dil dard-o-ḳhalish kitne ḳhazāne de gayā
dasht-o-sahra ko bhi wo manzar suhane de gaya
aur zaban par pattharon ki wo tarane de gaya
masKH hone lag gae ehsas ke chehre tamam
dhup ke jalte hue wo aashiyane de gaya
dam phailaega kal apni hawas ka bil-yaqin
aaj to wo ai parinde chand dane de gaya
dekhte hain tere giton mein tera chehra sabhi
dil bahal jaenge jin se wo bahane de gaya
wo raha masrur mahfil mein charaghon ki magar
naz hum ko in andheron ke uThane de gaya
KHun-chakan manzar diya aur zahr ka dariya diya
apni taqriron mein shoalon ke fasane de gaya
shukriya sad-shukriya ai shair-e-bismil ki tu
dard se mamur ghazlen gungunane de gaya
is se baDh kar aur kya saughat hogi ai 'qamar'
zaKHm-e-dil dard-o-KHalish kitne KHazane de gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.