dasht-o-sahra phir se apnaen bhi kya
Interesting Fact
1976
dasht-o-sahrā phir se apnā.eñ bhī kyā
vahshatoñ ko apnī samjhā.eñ bhī kyā
dard hī ḳhvāboñ kā ḳhamyāza sahī
duur dasht-e-dard se jaa.eñ bhī kyā
aur kuchh lamhe Dubo deñ chaa.e meñ
yaar is garmī meñ ghar jaa.eñ bhī kyā
ye bahut kuchh to hai gardānā tumheñ
aur is se nīche ab aa.eñ bhī kyā
faisla kar degī ik mauj-e-havā
Dahtī dīvāroñ ko ham Dhā.eñ bhī kyā
shā.irī bāzīgarī to hai nahīñ
sho.abde yāroñ ko dikhlā.eñ bhī kyā
dasht-o-sahra phir se apnaen bhi kya
wahshaton ko apni samjhaen bhi kya
dard hi KHwabon ka KHamyaza sahi
dur dasht-e-dard se jaen bhi kya
aur kuchh lamhe Dubo den chae mein
yar is garmi mein ghar jaen bhi kya
ye bahut kuchh to hai gardana tumhein
aur is se niche ab aaen bhi kya
faisla kar degi ek mauj-e-hawa
Dahti diwaron ko hum Dhaen bhi kya
shairi bazigari to hai nahin
shoabde yaron ko dikhlaen bhi kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.