dasht roz-o-shab mein dil-e-betab ko taza rakhna
dasht roz-o-shab meñ dil-e-betāb ko taaza rakhnā
āñkheñ be-shak jhaḌ jaa.eñ ik ḳhvāb ko taaza rakhnā
maiñ bhī apnī pyaas nahīñ bujhne dūñgā aur tum bhī
apne sahrā ke har ek sarāb ko taaza rakhnā
jazboñ kī is jhiil meñ soch kī kaa.ī na jamne paa.e
apnī tamannā ke aks-e-mahtāb ko taaza rakhnā
shāḳh hunar se toḌ ke sher kā phuul maiñ us ko de duuñ
us kī zulf ko hai ma.alūm gulāb ko taaza rakhnā
is tārīk udaas aur band galī meñ rahte log
rāste raushnī aur ḳhushbū ke ḳhvāb ko taaza rakhnā
dasht roz-o-shab mein dil-e-betab ko taza rakhna
aankhen be-shak jhaD jaen ek KHwab ko taza rakhna
main bhi apni pyas nahin bujhne dunga aur tum bhi
apne sahra ke har ek sarab ko taza rakhna
jazbon ki is jhil mein soch ki kai na jamne pae
apni tamanna ke aks-e-mahtab ko taza rakhna
shaKH hunar se toD ke sher ka phul main us ko de dun
us ki zulf ko hai malum gulab ko taza rakhna
is tarik udas aur band gali mein rahte log
raste raushni aur KHushbu ke KHwab ko taza rakhna
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 404)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.