dasht se aur na gulzar se Dar lagta hai
dasht se aur na gulzār se Dar lagtā hai
shahr ke kūcha-o-bāzār se Dar lagtā hai
haq-shanāsoñ ke yahāñ aaj qalam kyoñ chup haiñ
kyā unheñ aaj kī sarkār se Dar lagtā hai
maiñ to bhūle se kabhī haath nahīñ phailātā
mujh ko apne dil-e-ḳhuddār se Dar lagtā hai
kal talak sāya-e-dīvār sukūñ detā thā
aaj har sāya-e-dīvār se Dar lagtā hai
tīr-o-talvār ke saaya meñ jo jiitā hai 'vaqār'
us ko pāzeb kī jhankār se Dar lagtā hai
dasht se aur na gulzar se Dar lagta hai
shahr ke kucha-o-bazar se Dar lagta hai
haq-shanason ke yahan aaj qalam kyon chup hain
kya unhen aaj ki sarkar se Dar lagta hai
main to bhule se kabhi hath nahin phailata
mujh ko apne dil-e-KHuddar se Dar lagta hai
kal talak saya-e-diwar sukun deta tha
aaj har saya-e-diwar se Dar lagta hai
tir-o-talwar ke saya mein jo jita hai 'waqar'
us ko pazeb ki jhankar se Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.