dasht se patthar uTha kar shahr mein lae ho kyon
dasht se patthar uThā kar shahr meñ laa.e ho kyoñ
ye lahū māñgeñge tum se ḳhud pe itrā.e ho kyoñ
ḳhushk hai dil kā kañval sāñsoñ meñ ġham kī aag hai
jab barasnā hī nahīñ hai bādaloñ chhā.e ho kyoñ
mai ke sāġhar haiñ agar ġham ko miTāne kā ilaaj
ai na.e mausam ke phūlo pī ke murjhā.e ho kyoñ
ab to ḳhāmoshī tumhārī ḳhaar sī chubhne lagī
chup hī rahnā thā batāo phir yahāñ aa.e ho kyoñ
shab kī maarī bastiyoñ ke har dar-o-dīvār par
dhuup to sūraj kī hai tum ḳhud pe itrā.e ho kyoñ
haath meñ hai haath mausam mast-e-gul mahke hue
dekhne par mere phir tum mujh se sharmā.e ho kyoñ
ye haiñ aisī vādiyāñ dariyā bhī haiñ jin ke sarāb
log haiñ pyāse yahāñ 'asrār' tum aa.e ho kyoñ
dasht se patthar uTha kar shahr mein lae ho kyon
ye lahu mangenge tum se KHud pe itrae ho kyon
KHushk hai dil ka kanwal sanson mein gham ki aag hai
jab barasna hi nahin hai baadalon chhae ho kyon
mai ke saghar hain agar gham ko miTane ka ilaj
ai nae mausam ke phulo pi ke murjhae ho kyon
ab to KHamoshi tumhaari KHar si chubhne lagi
chup hi rahna tha batao phir yahan aae ho kyon
shab ki mari bastiyon ke har dar-o-diwar par
dhup to suraj ki hai tum KHud pe itrae ho kyon
hath mein hai hath mausam mast-e-gul mahke hue
dekhne par mere phir tum mujh se sharmae ho kyon
ye hain aisi wadiyan dariya bhi hain jin ke sarab
log hain pyase yahan 'asrar' tum aae ho kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.