dasht tārīk thā aur ḳhvāb thā kaalā merā
raushnī detā rahā kaan kā baalā merā
kāTnā thā mujhe koh-e-shab-e-ġhurbat lekin
TuuT kar girtā rahā raah meñ bhālā merā
tujh ko ma.alūm na thī chāk-garebānī mirī
tū ne is dasht meñ kyoñ naam nikālā merā
ātishīñ rakhtī hai yaañ garmī-e-raftār mujhe
huuñ mah-e-ḳhāk-nashīñ gard hai haalā merā
lā-makāñ ne mujhe pheñkā hai makāñ kī had meñ
kis se paḌtā hai yahāñ dekhiye paalā merā
manzil-e-ishq na ḳhāk-e-shab-e-hijrāñ meñ milī
jāda-e-rañj meñ khiñchtā rahā naala merā
dast-e-shaffāf pe likhtā hai mirā naam koī
shāḳh-e-sarsabz pe khultā hai ujālā merā
mujh ko gar kār-e-mohabbat meñ zarā der huī
aa gayā karne koī aur izāla merā
paar kar jaa.e ye shāyad kisī din jū-e-ḳhāk
jism ko chāhiye kuchh aur sambhālā merā
shahr-e-maujūd dhuāñ hai mire bujhne se 'naved'
shahr-e-nābūd meñ rahtā hai ujālā merā
dasht tarik tha aur KHwab tha kala mera
raushni deta raha kan ka baala mera
kaTna tha mujhe koh-e-shab-e-ghurbat lekin
TuT kar girta raha rah mein bhaala mera
tujh ko malum na thi chaak-garebani meri
tu ne is dasht mein kyon nam nikala mera
aatishin rakhti hai yan garmi-e-raftar mujhe
hun mah-e-KHak-nashin gard hai haala mera
la-makan ne mujhe phenka hai makan ki had mein
kis se paDta hai yahan dekhiye pala mera
manzil-e-ishq na KHak-e-shab-e-hijran mein mili
jada-e-ranj mein khinchta raha nala mera
dast-e-shaffaf pe likhta hai mera nam koi
shaKH-e-sarsabz pe khulta hai ujala mera
mujh ko gar kar-e-mohabbat mein zara der hui
aa gaya karne koi aur izala mera
par kar jae ye shayad kisi din ju-e-KHak
jism ko chahiye kuchh aur sambhaala mera
shahr-e-maujud dhuan hai mere bujhne se 'nawed'
shahr-e-nabud mein rahta hai ujala mera
Source :
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 509)
-
Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.