dasht-zar-e-gham mein aatish zer-e-pa hum bhi rahe
dasht-zar-e-gham mein aatish zer-e-pa hum bhi rahe
Akbar Haideri Kashmiri
MORE BYAkbar Haideri Kashmiri
dasht-zār-e-ġham meñ ātish zer-e-pā ham bhī rahe
ik sulagtī tishnagī se āshnā ham bhī rahe
intizār apne liye thā intishār apne liye
yaas kā sahrā samundar aas kā ham bhī rahe
talḳh tursh aur tez misl-e-zahar duniyā hī na thī
gard sard aur tund mānind-e-havā ham bhī rahe
jam ga.iiñ ham par bhī nazreñ zohra-o-mirrīḳh kī
vaqt ke dil ke dhaḌakne kī sadā ham bhī rahe
jism ke zulmat-kade meñ surat-e-qandīl zaat
saikḌoñ pardoñ meñ rah kar barmalā ham bhī rahe
kaisī mahrūmī hai 'akbar' ye ki ḳhud apne liye
apne hī saa.e kī sūrat nā-rasā ham bhī rahe
dasht-zar-e-gham mein aatish zer-e-pa hum bhi rahe
ek sulagti tishnagi se aashna hum bhi rahe
intizar apne liye tha intishaar apne liye
yas ka sahra samundar aas ka hum bhi rahe
talKH tursh aur tez misl-e-zahar duniya hi na thi
gard sard aur tund manind-e-hawa hum bhi rahe
jam gain hum par bhi nazren zohra-o-mirriKH ki
waqt ke dil ke dhaDakne ki sada hum bhi rahe
jism ke zulmat-kade mein surat-e-qandil zat
saikDon pardon mein rah kar barmala hum bhi rahe
kaisi mahrumi hai 'akbar' ye ki KHud apne liye
apne hi sae ki surat na-rasa hum bhi rahe
- Book : Namuu kii aaG (Pg. 15)
- Author : Akbar Hayderabadi
- Publication : Sima Publications, New Delhi (1981)
- Edition : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.