dast aur saba mujh mein
dast aur sabā mujh meñ
thā vo bevafā mujh meñ
aa rahī hai barsoñ se
ik ajab sadā mujh meñ
kyoñ huā vo ranjīda
jo huā huā mujh meñ
mauj-e-bahr-e-imkāñ kā
dard ik nayā mujh meñ
kuchh kahā kahā sā maiñ
kuchh sunā sunā mujh meñ
ek ghar purānā sā
roz gūñjtā mujh meñ
hai farār kartā sā
merā mudda.ā mujh meñ
kuchh adā ke gul buuTe
mahram-e-qabā mujh meñ
shab faroġh-e-jalva thī
roz-e-vāqi.a mujh meñ
kis ke par ye raushan haiñ
kis kā ghar jalā mujh meñ
vo to le gayā sab kuchh
merā kyā bachā mujh meñ
dast aur saba mujh mein
tha wo bewafa mujh mein
aa rahi hai barson se
ek ajab sada mujh mein
kyon hua wo ranjida
jo hua hua mujh mein
mauj-e-bahr-e-imkan ka
dard ek naya mujh mein
kuchh kaha kaha sa main
kuchh suna suna mujh mein
ek ghar purana sa
roz gunjta mujh mein
hai farar karta sa
mera muddaa mujh mein
kuchh ada ke gul buTe
mahram-e-qaba mujh mein
shab farogh-e-jalwa thi
roz-e-waqia mujh mein
kis ke par ye raushan hain
kis ka ghar jala mujh mein
wo to le gaya sab kuchh
mera kya bacha mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.