dast-e-KHulus jin ki taraf hum baDha gae
dast-e-ḳhulūs jin kī taraf ham baḌhā ga.e
ḳhanjar-ba-kaf vahī saf-e-qātil meñ aa ga.e
āñkhoñ se dil kī pyaas jo aañsū bahā ga.ī
har buuñd meñ hazār samundar samā ga.e
bādal baras baras ke shab-o-roz har taraf
nairangī-e-hayāt kī fasloñ ko khā ga.e
paayā faroġh aag ne bārish kī oT meñ
sho.ale munāfarat ke rifāqat jalā ga.e
gahre samundaroñ se jinheñ thiiñ shikāyateñ
jū-e-kam-āb meñ vahī kashtī chalā ga.e
āñkhoñ ko bāt-chīt ke ādāb de ke ham
gūñgī zabāñ se dil kī hikāyat sunā ga.e
'nādim' basant aa.ī to dekhā ye khet meñ
sarsoñ ke phuul raa.ī kā parbat ugā ga.e
dast-e-KHulus jin ki taraf hum baDha gae
KHanjar-ba-kaf wahi saf-e-qatil mein aa gae
aankhon se dil ki pyas jo aansu baha gai
har bund mein hazar samundar sama gae
baadal baras baras ke shab-o-roz har taraf
nairangi-e-hayat ki faslon ko kha gae
paya farogh aag ne barish ki oT mein
shoale munafarat ke rifaqat jala gae
gahre samundaron se jinhen thin shikayaten
ju-e-kam-ab mein wahi kashti chala gae
aankhon ko baat-chit ke aadab de ke hum
gungi zaban se dil ki hikayat suna gae
'nadim' basant aai to dekha ye khet mein
sarson ke phul rai ka parbat uga gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.